Chapter 95

1.1K 208 84
                                    


After a few hours, Aadya was sitting with a sad face in the cabin when Haseena came and sat near her. Aadya looked at her and then turned her face to the other side grumpily.

Haseena asked with a faint smile "Abhi tak Naraz hai mera baccha."

Aadya said in a pouted tone "Han bahot naraz hun."

Haseena softly pulled her closer and made her sit on her lap. Aadya looked at Haseena with little tears forming in her eyes.

Haseena quickly kissed her cheek and said in a soft tone "Mumma is really sorry Aadu. Humein aise nahi chillana chahiye tha aap par. Lekin aapko bhi toh Kisma se aise baat nahi karni chahiye thi na."

Aadya said in a complaining tone, snuggling to Haseena "Unhone aapko push kiya, aapko chot lag gayi. Mujhe gussa aa gaya."

Haseena asked in a soft tone "Aapko lagta hai aapki Kisma kabhi jaan boojh kar aisa karengi?"

Aadya nodded sideways with a sad face. Haseena smiled and said in an explaining way "Unhone humein nahi push kiya. Unhone jhatke se khud ko chhuraya toh hamara hi balance bigad gaya aur humein thodi lag gayi. Aapki Kisma aisa kabhi nahi kar sakti na Aadu. Hum par hath uthana to chhoriye unhone Aaj tak kabhi hum par gussa bhi kiya hai?"

Aadya cutely shook her head negatively and Haseena added "Unko kitna bura laga hoga na beta jab aapne unse aise baat ki. Baat bhi nahi suni na unki aapne. Aur Pushpa ji ne bhi kitna danta unko."

Aadya said in an adamant tone "Sorry Mumma. Main Kisma ko sorry bol dungi jab woh aayengi. Par unhein bhi itna gussa nahi karna chahiye tha na. Aapko chot lag gayi na unki wajah se. Main abhi bhi naraz hun unse. Aap unki side mat lo."

Haseena made a poor face and said "Abhi kaun gussa kar raha hai."

Pushpa ji entered the cabin and said in an irked tone "Thik hi toh keh rahi hai woh Madam sir. Aaj jo Karishma madam ne kiya woh bilkul galat tha. Humein bhi gussa aa rha hai unpar bahot jyada. Aaj agar duty ke hathon bandhe na hote toh Aisa zor ka thappad lagate na.."

She stopped in between looking at Haseena's pleading eyes and said "Aadya aapko Rajvir mamu bula rahe hain. Dekho to zara kya keh rahe hain."

Aadya ran outside the cabin and Haseena got up from her seat with a deep sigh. Then Pushpa ji asked in a soft tone "Aap thik hain?"

Haseena smiled weakly and said "Pushpa ji itni chot bhi nahi lagi thi humein. Bus unka yeh gussa humein bahot darata hai. Aaj jo bhi hua uske liye khud ko waise bhi zimmedar maan rahi hongi woh. Aap sab bhi unse aise naraz ho jayenge toh kaise chalega. Pehle Aadya, fir Aap."

Just then Karishma returned and was about to knock at the cabin with a dull face when she overheard the conversation going inside Haseena's cabin.

Pushpa ji said in an irked tone "Harkatein hi aisi hai uski. Gusse me aapko chot pahucha di unhone. Aur yeh baat maafi ke kaabil toh bilkul nahi hai."

Santosh entered the cabin and said in a grumpy tone "Pushpa ji thik keh rahi hain Madam sir. Iss baar Karishma madam ne acha nahi kiya."

Karishma looked at them with a sad face and walked towards her desk dejectedly not before glancing at Haseena's upset face once. And they failed to notice that Karishma had heard a part of their conversation.

Haseena said in a pleading tone "Pushpa ji, Santosh aap log kyu bol rahe hain aisa. Unse galti se dhakka lag gaya humein. Aadya toh bacchi hai, kam se kam aaplog toh aisa mat boliye. Unko bahot bura lagega ki aaplog unhein galat samjh rahe hain."

Santosh asked in a doubtful tone "Aap unse naraz nahi hain madam sir?"

Haseena took a deep breath and said in a calm tone "Jis tareeke se unhone Arshad ko peeta hai, kuch bhi ho sakta tha. Gusse me jaise unhone sanyam kho diya, uss baat ke liye hum unse bahot naraz hain. Magar jis baat se aap sab unse khafa hain, Woh hamare liye mayne hi nahi rakhti. Kyuki hum jante hai ki usme unki koi galti nahi thi."

Nadaan Ishq - KarEena Where stories live. Discover now