Chapter 12

1.8K 211 47
                                    


All MPT members were gathered at lunch time. Pushpaji spoke in an irked tone while all of them were having their lunch - Kamal ke log hai madam sir, Duniya Chand pe pahunch gayi hai, aur log abhi bhi caste aur religion ke naam par do balig logon ki shaadi par aitraz karte hai.

Haseena shook her head, while Cheeta added - Ha na Pushpa ji, sirf aitraz nahi karte hai, maar dena chahte hai, jaise ke pyar nahi koi gunah kar diya ho.

Rajvir said - Pata nahi kab ye log sudhrenge aur ye samjhenge ki shaadi ke liye, pyar ke liye bus do logon ki sehmati chahiye, na ki pure samaj ki validation.

Santu also spoke with seriousness & maturity - Hamare desh me shadi ya pyar ke liye, Samaj ko same caste, same religion, same class, same status, sab kuch same chahiye. Aur wahi dogla samaj same gender relationships ko accept nahi karta. Courts ne bhi jinke rishte ko swikar kiya hai, Samaj me ab bhi uska bahiskar hi hota hai. Itni hypocrisy wale rules & regulations hai hamare samaj ke.

All got shocked after hearing this intelligent remark of Santu and looked at her with a proud smile.

Haseena says - Ha magar iss mudde par ab kanoon sakht hue hai, ab aise rishton ko criminal offences ki category me nahi rakha jata. Har kisi ko jeene ka, pyar karne ka aur apna jeevansathi chunne ka adhikar hai.

Karishma, for the first time in the entire conversation added - Par sirf adhikar dene se situation me koi khaas badlaw nahi aaya hai, aaj bhi unhe samaj se siway bahiskar ke aur kuch nahi milta. Unke liye koi bhi legal adoption ka koi provision nahi hai. Aise me sirf criminal offence hata dene matra se hume nahi lagta koi long term solution mil payega. Ha magar ye bhi sach hai ki pyaar karne wale inn sab cheezon ke baare nahi sochte..Kyuki Soch samajh kar to Saude hote hain, pyar bin bataye hi ho jata hai.

Haseena listened to her carefully & said looking at her - Han pyar to bin bataye hi ho jata hai.

While everybody else looked at her with a mischievous smirk, which made Karishma smacked her head thinking - Galti ho gyi inlogon ko bata kar hi. Uss shaksh ka naam bataya agar, to fir to khair nahi hai hamari.

.
.

Next evening, Haseena was getting ready in her room, wearing a simple salwar suit with open hair, when Karishma came with 2 cups of chai. She assumed that she must be getting ready to meet Arshad and her heart sank with that realisation, but still she could not take her eyes off. She somehow composed herself and asked with a smile - Kya hum andar aa jaye.

Haseena looked at her towards the door & said with a fake smile - aayiye na Karishma, aapko bola hai na ke aise puchne ki zarurat nahi hai.

Karishma looked at her closely, haseena's eyes were immersed in sadness while her face was smiling. She asked her being worried - kya baat hai Haseena, aap kuch pareshan lag rahi hain, Kuch problem hai to hume batayiye na.

Haseena turned back towards the mirror with sadness now more evident on her face. Karishma looked at her through the mirror and was waiting patiently for her to say something.

Haseena answered sadly - Darasal aaj Ammi ne arshad ke parents ko ghar bulaya hai, wo chahti hai ki hamara jo bhi jeevansathi ho, uski family bhi utni hi achi ho, jo hamara khayal rakh sake. Hume ye sab bahot jaldbazi lag rahi hai. Humne pehle bhi unke baar baar kehne par thoda sa waqt manga tha sochne ke liye, magar aisa kuch hota dikhayi nahi de raha..Aur isiliye aaj hume hamare abbu ki bahot yaad aa rahi hai, agar wo hote to shayad hume samjh paate aur khul ke apne Dil ki baat unse kar lete.

Karishma took a deep breath & said - Hmm..To ye problem hai, lijiye pehle to ye garma garam chai pijiye..Aadhi musibat to isse hi hal ho jayegi. Aur rahi abbu ki baat to, humne na ek baat seekhi hai..jab aap kisi kareebi ko kho dete hai na, aur aapko lagta hai ki wo door chala gaya hai aapse, tab aapko iss baat ka ehsaas nahi hota ki wo humse bahot door Jane ke baad bhi hamare sabse kareeb hai. Hum jab chahe apne Dil pe hath rakhkar unhe mehsoos kar sakte hai, hamari dhadkan, hamari sansein jab tak chalti hain..Hamare apne humse mar kar bhi kabhi juda nahi hote..unka ek hissa hamare dilon me dhadkan ke sath dhadakta rehta hai. Aur hamara ek hissa unke sath chala jata hai. Hum jab chahe unse baat to nahi kar skte, par ha unke nazariye se duniya ko dekh kar nirnay zarur le sakte hain.

Nadaan Ishq - KarEena Donde viven las historias. Descúbrelo ahora