Chapter 62

1.3K 196 45
                                    


Haseena was packing her clothes while giving some instructions to Karishma. On the other hand Karishma was busy studying some files and was only humming in response.

Karishma said still looking at the file "Aapne woh wali saree rakhi Tweety jo humne li thi?"

Haseena replied in a casual tone "Ji nahi, woh hum waha leke nahi ja rahe."

Karishma finally looked up from the file and asked "Kyu, kab pehnengi aap usko. Hum dekhna chahte hai na, aap kaisi lagti hain uss saree me."

Haseena stared at her blankly and replied in a firm tone "Aap kahan chal rahi hai saath me. To kyu pehne hum aapki pasand ki Saree."

Karishma replied in understanding tone "Ha magar photos aur video call pe to dekhenge na hum. Zoya ki shaadi hai, aur aap kya Qayamat lagengi uss saree me."

Haseena said with a sad layer on her face "Humein nahi lagna koi qayamat wayamat."

Karishma smiled at her pouted face and asked in a cheering up way "Waise Jiya ji kab tak pahuch rahi hain waha?"

Haseena replied "Woh to aaj pahuch bhi gayi hogi. Keh rahi thi kal station aayegi humein pick up karne."

Karishma shook her head and said "Chaliye acha hai. Kal subah hum chalenge aapko aur ammi ko station drop karne."

Haseena didn't reply, just closed her bag and kept it aside after completing her packing. She sat on the bed with a sadness on her face. Karishma noticed that and kept her file on the side table with a sigh. Then she crawled towards Haseena and sat beside her with a small smile.

Haseena looked at her through the corner of her eyes and taunted grumpily "Kyu aayi hai yaha aap, jayiye ghus jayiye na apni file me."

Karishma smiled and pressed her hand on her hand and said softly "Kahe muh latka rakha hai Tweety. Khushi ki baat hai, kitne time baad aapko mauka mil raha hai enjoy karne ka. Kaam se thoda break mila hai. Aur aap hain ki aise udaas baithi hain."

Haseena looked at her with an annoyed expression and said in a complaining tone "Aur kya karein hum. Aapko to jaise koi farq nahi pad raha hai. Humein nahi jana na aapke bina. Humein pata hai ek hafte hum nahi honge to aap puri manmani karengi. Khana time se nahi khayengi, ghar der se aayengi. Upar upar se dikha rahi hain ki jaise ekdum bindaas hain, aapko kya lagta hai humein samjh nahi aayega. Aapki aankhein padh lete hain hum."

Karishma kept her head in Haseena's lap with a smile and said lovingly "Sab jaanti hai hamari Tweety, toh fir yeh bhi jaanti hogi ki hum ab sudhar gaye hain, koi Manmani nahi karenge."

Haseena started to caress her hair with her fingers softly with a calm mind and kissed her forehead lovingly.

Karishma closed her eyes with a gentle smile while Haseena said in a serious tone "Rishu, aapki asthma ki emergency medicines humne har room aur kitchen ke drawer me rakhi hai. Taaki agar zarurat mehsoos ho to dhundhne me pareshani na ho aapko. Aur khane ke baare me Malaika ko bata dijiyega jo man kare, wo bana diya karegi. Bahar ka khana bilkul nahi khayengi aap. Aur Thane me agar koi important case aaya to humein inform karte rahiyega. Aur.."

Karishma interrupted in a playful tone before she could go on "Tweety, baaki ke instructions WhatsApp kar dijiyega. Filhal humse thodi pyar bhari baatein to kijiye. Kal se ek hafte aap nahi hongi to uska thoda toh khamiyaza bhugatna hoga na aapko."

Haseena slapped her cheek lightly with a smile & said with a blush "Aapki harkatein na puri bacchon jaisi hai, kabhi bhi shuru ho jati hain aap."

Karishma held her hand and said in a serious tone "Suniye waha shaadi me koi aapse flirt kare na, to usko pehle hi bata dijiyega ki aapse door rahe."

Nadaan Ishq - KarEena Where stories live. Discover now