Chapter 15

1.9K 201 42
                                    


After a while, Haseena entered the house only to find Karishma setting up the dinner table in the dining area with a calm expression & the slap mark was now clearly visible on her face. Haseena moved towards the table taking a deep breath. Karishma noticed her presence and called her in a polite tone - "Haseena, aayiye khana lag gaya hai.. kha lete hai, Hum abhi aapko bulane hi aa rahe the."

Haseena looked at her in surprise, as she was behaving way too calmly which was totally in contradiction to what Haseena had imagined. All this while she was expecting an extreme reaction from Karishma after all what transpired between them. She was just looking at her to find any sort of anger, complaints or disappointment on her face but there was none.

Karishma understood her confusion and smiled a little. She said playfully while walking towards her - "Kya Haseena, aap hi to keh rahi thi na, hamari Prem kahani sunni hai aapko, tod fod bhi macha di thi kal toh. Ab jab humne kahani aapko suna di, to aapke to tote hi udd gaye aisa laga rha hai."

Haseena came out of her confused zone and said with a stern smile - "Hume thode hi pata tha ki aapki Prem kahani me hamara lead character hai."

Karishma laughs at her comment and forwards her hand towards Haseena while saying - "Acha ab pata lag gaya hai, to khana kha lete hai, bhukhe rehne se na, bure bure sapne aate hai raat ko aur thik se neend bhi nahi aati."

Haseena narrowed her eyes while holding her hand - "Ye aap keh rahi hain, jisne zindagi me aadhe se jyada time khana skip kiya hoga. Aapke chakkar me humne bhi lunch nhi kiya dopehar ko."

Karishma smiled looking at her and said - "Acha to ab kha lete hai na bina kisi deri ke, aayiye."

She took her towards the table & made her sit on the chair. She added sitting on another chair - "Chef Karishma Singh urf Rishu..aapki sewa me upasthit hai. Dekhiye kitne badhiya wale aalu ke parathe banaye hai humne."

Haseena pulled the plate near her and started eating while giving a doubtful look to Karishma, which she noticed. Karishma stopped eating for a moment and said in a slightly apologetic tone - "Maaf kar dijiye, humne jo kuch bhi aapse kaha, uski wajah se shayad hamari uljhanein badha di hain. Itni sensitive baat hume iss tareeke se nahi karni chahiye thi. Par kya kre hum na aise hi hai, jab tak chup hai tab tak sahi hai, baatein karte hi hum cheezein bigaad dete hain, aur kaafi complicated bana dete hain.."

Haseena interrupted her and said in a comforting tone - "Aapne kuch bhi complicate nahi kiya, bus sach hi to kaha hai. Baatein chupane se bigadti hain, batane se nahi."

Karishma relaxed a bit and said sincerely - "Dekhiye humne jo bhi kaha wo hamari taraf se hai, iski wajah se hum nahi chahte ki aap par kisi bhi tarah ka koi dabaav ho. Aur Jo jaisa tha sab waisa hi rahega. Humare khud ke liye hi bahot mushkil tha iss baat ko accept kar pana, to aapki manosthiti hum samjh sakte hain. Duniya se alag chalne ke liye aur samaj se bagawat karne ke liye pagalpan ki zarurat padti hai, aur pyar me nadani aur pagalpan ki hadein mit jati hain. Ye baat hume bhi mehsoos kar ke hi samajh aayi hai. Aap agar Hamari humsafar hoti to baat kuch aur hoti, par agar aapki taraf se aisi koi bhawna nahi bhi hai to bhi hume koi aitraz nahi hai iss baat se."

Haseena listened to her calmly and replied honestly - "Hum agar sach kahein toh aapme wo har quality hai, jo kisi bhi ideal life partner me honi chahiye. Aur aap sach me ek bahot achi insaan hain, hum aapki aur aapke jazbaat ki bahot kadar karte hain. Aapke sath zindagi ka Safar bhala kaun nahi Tay karna chahega. Magar ye baatein hamara dil jaanta hai, lekin dimaag iss baat se ittefaq nahi rakhta. Dimaag ke according Jo mohabbat samaj ke daayre me nahi aati aur jis rishte ko nibhane ke liye puri duniya se naate todne padte ho, Wo jaisa ki aapne kaha ek pagalpan hi toh hai.
Aur abhi ke liye humein ye pagalpan khud me kahin nazar nahi aata. Shayad aapse milne se pehle humne kabhi iss bare me socha bhi nahi tha. Haan magar kabhi hamari dil ne ye pagalpan ki hadein paar ki, to aapko aakar sabse pehle batayenge, wada karte hain. Ab khaana khatam kar lein..?"

Nadaan Ishq - KarEena Tahanan ng mga kuwento. Tumuklas ngayon