CHAPTER 3 : Part 6

1.6K 140 59
                                    



Bondita's p.o.v

"Pata nahi kal kya hoga" Batuk sighed to himself.

"Kya hua Batuk?" I enquired.

He jumped beside me – as though he didn't know I was there – and muttered to himself.

"Kahan bhas gaya"

"Kuch bola tune?"

"Nahi Boudi... Kuch bhi nahi"

I stopped and placed my hands on hips.

"Batuk... Ab kya kiya hai tune?"

"Acha theek hai batata hoon... Lekin ghar pe kisiko mat batana..." he curled two fingers of both his hands and said" Apne pati babu ko bhi nahi"

I furrowed my eyebrows but nodded.

"Woh Boudi Baba ne mujhe kaha tha na do maheene pehle arji dene ko, woh mein bhool gaya tha..."

"Matlab tum... Phir tumhara pravesh keise hua Batuk?"

"Woh Boudi..." he hesitated.

"Sach sach bolo Batuk... Kya kiya hai tune?"

"Meine... meine college ke karyalay ko telephone kiya aur... aur thamki di" He looked at me and ground simultaneously.

"Thamki? Kya thamki?"

"Yahi ki Batuk Roy Chowdhary ka pravesh nahi karwaoge toh college ko bahut mehnga padega. Arre Roy Chowdhary hai hum"

I slapped on his head and yelled.

"Hey Dugga maa ise kab sadbudhi doge ap? Tu kabhi nahi sudhrega kya?"

"Dekho toh kaun kah raha hai? Shararati ki nani mujhe sikhayegi ab ki acha bacha keise banna hai"

I ignored his comment and quizzed.

"Lekin kal kya pareshani hai?"

"Hamara college Principal baba ko milne aa raha hai, woh khud aakar kahna chahta hai ki mera pravesh hogaya hai... taaki college ko nuksaan na ho" he slapped his forehead.

I burst out laughing.

"Weise acha hua kal aa raha hai... Agar aj hota toh Pati babu bhi ghar pe hote aur tumhara kya ho jata Batuk!"

"Wahi toh! Baba kam hai kya, ki ab Anirudh dada se bhi daat pade? Pata hai Boudi woh aj hi aane wala tha. Lekin meine kah diya ki aj ghar pe vishesh pooja hai isiliye kal aaye. Mein bhi na, kitna bada budhu hoon, agar meine kal ke bajay ek maheene baad aane ko bola hota toh woh tabhi aata na? Kabhi kabhi dimaag dheeme hi chalta hai mera" he shook his head.

"College gaya bhi nahi ki shikshak se choot bolna shuru kar diya tumne! Yeh toh galat baat hai Batuk. Thamki ke baare mein poocho hi mat!"

"Meine kya choot bola?" he snapped.

"Pooja ke baare mein jo bola tha" I snapped back.

"Woh choot thodi hai!" he muttered annoyed.

"Kya matlab hai tumhara? Ghar mein pooja chal rahi hai?" I snapped again.

"Haan" he snapped back.

"Aur mujhe nahi pata hai!" I said sarcastically.

"Vishwaas nahi aaraha? Khud jakar dekh lo" he grunted.

"Acha... Toh batao kyun chal rahi hai yeh chooti pooja?"

"Itna bhi nahi pata kya? Teri aur dada ki shaadi ki salgirah keliye aur kya?"

ANIDITA : A Life For RevolutionWhere stories live. Discover now