CHAPTER 3 : Part 5

1.6K 125 111
                                    



Bondita's p.o.v

"Khade khade muh kya dekh rahi ho? Chalo!" he yelled at her.

"Ap chale jayiye mein nahi aane wali"

"Kya matlab hai tumhara?" Her father asked furiously.

"Baba meine faisla liya hai ki mein wapas Gunjarpur nahi aayegi... Mein yahi Tulsipur mein rahoongi"

"Yeh kya bakwaas kar rahi ho tum? Bohot aatmavishwas ho rahi hai na tumhe in aurton ke sath rehkar? Kabhi socha hai yeh log kitne din tak tere sath rahoge?"

"Apni aakhri saas tak! Mein Bondita Roy Chowdhary Gruhati ki zimmedari leti hoon" I said confidently.

"Sirf Bondita hi nahi ham sab le rahi hai iski zimmedari. Aj isi vakth se yeh hamare beech mein se ek hai" Ramaiyya didi defended me.

"Aur ise choone ka kya ghoorne ke bare mein bhi sochna mat" Suraiyya didi was in no mood to let go. I guess it affected her really bad.

"Inke beech mein rehke kya karogi tum?"

"Izzat se sar udhakar apni zindagi mein aage badhoogi... Jo mein apke sath rahkar mahsooz tak nahi kar payi" She replied almost immediately.

"Zimmedari leke kya karogi tum? Jeise tumhari saheli ka liya tha bilkul weise toh nahi? Balki tera devar toh yahi khada hai... Kahi aisa toh nahi ki tum uske bhi shaadi tumhari devrani jeisi durbal, gareeb ladki se karwaoge... Kya pata Gruhati se karwaoge?"

I was about to retaliate when another blow came to his face and I looked to see Batuk glaring at him with fisted hands.

"Tumhari itni himmat ki tum Roy Chowdhariyon ki bahu se aise baat karoge?"

He gave him another punch.

"Tumhari itni himmat ki tum meri boudi par khatiya aarop lagaoge?"

He gave him another punch and Gruhati's husband's cheekbones got displaced.

"Himmat keise ki tumne meri shaadi tay karne ki? Pata nahi hai kya ki mein sirf 15 saal ka hoon? Sharam nahi aata ek chote bache ke shaadi ki baatein karke use sapne dikhaane ko?"

I chuckled and cleared my throat.

"Batuk! Bas karo!"

"Nahi nahi Boudi bohot maza aaraha hai please rokna mat"

"Batuk!" I struggled not to laugh.

"Theek hai! Tujhe mein baad mein dekhoonga" he threw him away.

Then he turned and gave him a slap.

"Yeh battameezi karne keliye. Aurton se keise baat karna hai, yeh seekh jao"

"Batuk!" I shouted at him.

He turned and walked away, raising his hands in air – showing he has finally stopped.

"Ab rukna chahoge ya phir chal raha hai?" Suraiyya didi enquired.

"Nahi rukna hai toh ham prabandh karenge... Batuk jeise bohot ladke hai yahan" Savitri didi talked for the first time.

"Arre ladke hi kyun? Ham kaafi nahi hai kya?" Suraiyya didi countered.

"Bas karo tum log!" Ramaiyya didi scolded them.

"Chalo Santhosh... Chalte hai" The father tried to calm down his son-in-law.

"Tum... Bohot pachtaoge tum..." he pointed a finger at Gruhati while I threw a protective arm around her shoulder.

-----------------------------------

ANIDITA : A Life For RevolutionWhere stories live. Discover now