Chapter 36: Confessions

6.8K 250 44
                                    

Happy reading !

~~~~~~~~

Soha

"Aunty trust me He is a nice guy. Bhala mai ifra k liye kabhi koi galat faisla kar sakti hun? Dost kam aur Behn ziyada hun us ki. Trust me aunty. "

I was trying to do the most difficult task of my life.

Ifra ki ammi jaan ko rishtay k liye manana hai. And also I have to show it that it's NOT A LOVE MARRIAGE, jab k asal mai ye LOVE MARRIAGE hi hai.

Ajeeb ek toh ye larki dramatic aur ek is ka dewana pagal! Dono k bachay pure pagal hon

I jusr returned from Toronto yesterday and the whole day was nothing less than a torture.
Apne room mai jati thi toh mera romentic beast meri jaan k peechay para tha and if I would come out to sit in lounge toh haarib miya ne naak ma dam kia hua tha. Zid pakri thi k kal hi mai jao aur ifra ki mom se baat karu.

So, I am here just trying to make her accept this proposal.

"Aunty haarib bohat acha hai. Sheharyar ka dost kam aur bhai ziyada ha. Haarib new york ma business krta hai aur achay khasy khaty peety gharane ka seedha sadha aur suljha hua insan hai. "

Itna jhoot mane apni zindagi mai nahi bola ho ga jitna ab US haarib k taareefo k pull bandhty hue bolna par raha ha.
Because you know! Haarib aur seedha sadha?

"Beta woh toh tumhari baat thek hai. Par Adeel hai na meri bahu ka bhai, us ka bhi rishta aya tha ifra k liye. Khandan k log hai. Dekhay bhalay han. Mai toh adeel ka hi soch rahi thi aur faizan bhi yahi keh raha tha. " aunty was not in a mood to agree.

I looked around to make sure ifra's bhabi or her brother wasn't near. I started my dramaqueen act.

"Aunty woh adeel? Jis ki 4 behnai. Ek toh ap bahu bana kar le ai aur baqi 3 abhi bhi han. Aur us ki maa ka toh ap ko pata hi hai. Ab ye saas (mother in law) aur nandai (sister in law) ap ki bechari masoom bachi k sath kaisay rahy gi ye ap bhi samajh sakti han. Ab har koi ap jaisi achi aur piyar karne wali saas thori ban sakta ha jo bahu ko sar ankho par bitha k rakhay.

Aur rahi baat khandan ki toh aunty ap khud sochai, agr ap ne ye shadi kar di toh bhabi jo chahy woh karwa sakti han ap se ifra k nam se blackmail kar k. Ab mai kisi ko aisay judge to nahi kar skti par aunty jo nazar aa raha ho usay andekha to nahi kar sakty han. "

I looked at her and she seemed to think of everything I said.

Ye laga teer nishanay par!

"Aur aunty adeel kam kia karta tha.... aaa ...han woh MBA kar k bank mai job karta tha na par waha se bhi nikal dia tha. Ab kia karta ha woh?"

I purposely asked this question because I knew the answer.

" Pata nahi beta! koi scandal ban gaya tha. Ab toh woh as a sales man job karta ha. " aunty took a deep breath and now a frown was there on her forehead.

Ye gaya dosra teer.
Ab bas final warr karna ha.

"Hmmm..... aunty insan mehnat kare toh kia nahi hasil ho sakta! Ab haarib ko hi dekh lai. Bin maa baap ka bacha hai. Par khud mehnat kar k apne pao pr khara hua ha. Ab bhi na maa baap han na behn bhai. Iklota hai aur itna bara business. Ifra bohat khush rahy gi aunty. "

She just nodded a little but I did my last task.

I took hold of her hand and sat in front of her on my knees.

"Aunty dekhay! Jawan larki ghar ho toh rishtay toh aty rehty han. Har rishtay k bare ma sab jaan k hi beti dene ka faisla karna ha na. Ap ek dafa mil lay haarib se. Agar ap ko na pasand aya toh mai ap ko force nahi karu gi. Par ek dafa. Please. "
I made my puppy face.

Zindagi Ka Safar ( The Journey Of Life)Where stories live. Discover now