Part 16

2.4K 126 4
                                    

At the terrace.

Meerab is starring at moon and think about herself.

Anwar comes there.

Anwar:Kiya mein yaha beith sakta hu beta?
Meerab:Yeh bhi koi puchne ki Baat hai.Aye na Chachajan.
Anwar:Suna hai Murtasim aaj nahi laut rahe.
Meerab:Haa unhe kuch kaam hai waha.
Anwar:Mein to adhe se jaida din ghar pe nahi rehta to tumse milna hi nahi ho pata.Tumahare exam kaise gaya?
Meerab:Average.Dua karna bas pas ho jau.
Anwar:Itne mushkilo ki wayazud bhi agar keh rahe ho ki average huya hai to socho tum pehle ki halat mein hoti to Shayed tum gold medelist hoti.
Meerab:Itni bhi acchi student nahi hu.Average type hi hu.
Anwar:Main kabhi kabhi sochta hu beta duniya kaha se kaha pouch gaya hai Aur yeh ghar aaj bhi purane khayalat mein duba hai.Mujhe Murtasim se yeh ummed nahi tha.Aaj ke zamane ki hone ki wayazud bhi uska soch kitna purana hai.
Meerab:Kya kar sakte hai.Hum chahe kitni bhi koshish kyun na karle logo ka soch badalna kafi mushkil hai.Shayed namumkin nahi.
Anwar:Tum ummed rakhte ho uska soch badlega?
Meerab:Shayed badal bhi sakta hai aur nahi bhi.
Anwar:Mujhe nahi laagta is ghar ke log Aur unke khayalat ki tabdili kabhi ayega.Mujhe koi ummed nahi inse.
Meerab:Pata hai Chachajan mein kabhi kabhi heirat hoti hu khud pe.Mera paidaish is ghar mein hua.Mein yaha ki pali bari hu Lekin shaadi ke baad jaise sab ko pehchan rahi hu woh shaadi se pehle kabhi nahi pehchana.Aisa laaga yeh lig koi aur hai.
Anwar:Isko hi Shayed fadak kehte hai bahu Aur beti ki bich ki.Beti ki so galtiyan maf ki jati hai Lekin bahu ki zara si Galti par saza diya jaata hai.
Meerab:Aur Main main janti bhi kaise aab tak to mano Abbu ki nazar se hi duniya dekhti thi.Asal duniya ki samaj to aab ay hai.Abbu ko bolte the Aur Ammi jo shikhati thi usko hi duniya samajti thi.Kabhi nahi socha iske ilawa bhi duniya Kuch Aur chiz bhi ho sakta hai.
Anwar:Pata hai Mujhe.tumhare ek farmaish pura karne ke liye Waqas bhai kaise Bhabi begum se laad jate the.Aur aapna Baat manwake hi dam lete the.Sab apni ankhon se dekha hai maine.
Meerab:Maine apni zindegi do kisam ki mard dekhe hai.Ek jo Abbu hai jo Mujhe udne ka khawab dekhai the aur Ek Murtasim jo Mujhe bandh ke rakhna chahte hai.
Anwar:Sara qasoor tarbiyat ka hai.Bachpan se jo dekkhe bada hua hai yeh uska reflection hai.
Meerab:Mein samjhi nahi chachajan.
Anwar:Mein aab tak akele kyun hu kabhi socha hai?
Meerab:Ammi se suna tha ek dafa talak ke baad aapne dobara ghar nahi basaya.
Anwar:Ghar tutne ke wajah jante ho?
Meerab:Kabhi kisi ko pucha nahi.
Anwar:Aaj se kahi saal pehle maine kisi ke sath dil lagaiya tha aur uske sath ghar bhi basaya tha.Use bhi padne ka bada shokh tha.Lekin bhaisaab Aur Bhabi begum uske padai ke khilaf the.Mein bhi us waqt uski sath khada nahi ho paya.Ek taraf ghar ke uljhane dusri taraf mujhse aanban.Sab se tang aake woh ladki ghar chodke chali gayi.Aur jate hi Mujhse khula le liya.Mujhe bohot afsos hai ki kash mein uska himmat ban pata.Kash uske khawabo ko aapna ke usko rangne wajah banta.Kash mein aapni parivaar ki khilaf jaake uske liye awaz utha pata.Kash beta kash to aaj mein yun akela nahi rehta.
Meerab:Maine aaj tak is bade mein Kisi se bhi suna nahi hai.
Anwar:Us Baat ka zikr bhi is ghar mein izazat nahi.to tum kaise sunte.Yeh wakiyat jab hua to tum 3/4 saal ki the Aur Murtasim 10/11.Usne sab dekha tha Aur aapni zehen mein yeh baat bitha diya ki pade likhe ladkiyan ghar nahi basa pate.Apne khawab ko hi sabse upar tarzi dete.Aur Bhabi begum ne bhi use yehi shikaya.
Meerab:Aapne dusri shaadi kyun nahi ki Chachajan?
Anwar:Mohabbat thi woh mera.Uske baad kisi se mohabbat hi nahi hua.Aur uski jaga mein kisi ko de nayi paya.Bohot ummed the usko mujhse Aur mein uski ummed pe khada nahi ho paya.Aur is Baat ki afsos Mujhe marte dam tak rahega.

Anwar drop off tears and Meerab console him.

In the midnight Murtasim's friend called him via video call.

Friend:Itne khubsurat biwi ki rakkhe online kyun ho?
Murtasim:Apne gao aaya tha to neend nahi aa raha.
Friend:Gao mein yun akele?Biwi ko chodke?
Murtasim:Haa.
Friend:To yun kaho na miss kar rahe the usko?
Murtasim:Aise koi Baat nahi.
Friend:Chodo us baat ko.Married life kaise jaa rahi hai.
Murtasim:Thik thak hi hai.
Friend:Bhabi ne padai chod di?
Murtasim:Nahi.Aur age padne ki irada hai unhe.Lekin aisa hoga nahi.Agar mere sath rehna hai to padai bhol na padega.
Friend:Kyun woh kiya sirf padai karti hai tumhe waqt nahi deti?
Murtasim:Nahi.Bohot waqt deti hai Mujhe.Infact Mujhe kisi chiz ke liye kabhi inqaar bhi nahi karti.
Friend:To Shayed tumhare ghar ko nahi samhal rahi hai padai ke chakkar mein.
Murtasim:Bilkul nahi.Padai ke sath sath ghar ka pura kam bhi karti hai.
Friend:Padai ko leke tumhare sath ya tumhare Maa begum ke sath behes karti hogi?
Murtasim:Bilkul nahi.Mujhe kabhi kabar kuch bol bhi de to Maa ke sath kabhi koi baittamazi nahi kiya.
Friend:Agar uski padai ki wajah se tumhare rishte aur ghar mein koi affect nahi pad raha to tumhe kyun masla hai uski padai se.
Murtasim:Tum nahi samjhoge.
Friend:Mujhe nahi pata tumhare kya masla hai aurton ki padai se Lekin mein itna kahunga ki har aurat ko ek palle mein napna band kardo.Har kisi ki halat Aur uske piche ki qisse alag hote hai.
Murtasim:Pata nahi yaar Mujhe uske padai se yaa aage badne se bohot chid hai.Mujhe Lagta hai agar use udne ke liye pankh di jai to woh udke kahi dur chali jayegi Aur mein akele reh jaunga.
Friend:Tum jo Bhabi par itna ruk tuk karte ho woh kuch nahi kehti tumse?
Murtasim:Bilkul nahi.Infact uske exam ke waqt maine itna pareshaan kiya use Lekin woh uf tak nahi bola.
Friend:Phir to mein kahunga bohot sabr hai Bhabi me.Lekin kheyal rakhna sab ki bardast ki bhi ek haad hoti hai.Agar yeh sabr toot jaye na to tum kuch samhal nahi payoge.
Murtasim:Kya woh Mujhe chodke chali jayegi Aur mein akele reh jaunga?
Friend:Yeh Baat tumhe tey karna hoga kya unko tumhare sath rehna chahiye yaa nahi.Tum khud highly educated ho tumhe yeh baat samjhane ki bhi zarorat nahi Phir bhi bol raha hu.Miah biwi cycle ki do payon ki tarha hai.Ek ke bina dusra adhura hai.Bhabi ko udne ke liye pankh do Aur khud bhi unke sath udo.Dekhna zindegi bohot khubsurat hogi.Ek dusre ko dabane ki wajai dost bano.Tum dono ka rishta kamiyab hoga.Apni Fazool wehem ko chod do.Duniya ko sab aurte ek jaise nahi hota.Agar Kuch ghar todte hai to kuch ghar basate bhi hai.Aur Meerab Bhabi un aurto mein se hai jo ghar basa sakte hai.

Murtasim carefully listen to him and think about it.

Meerab Murtasim Ki HuiWhere stories live. Discover now