Part 14

2.4K 127 1
                                    

Meerab is thinking about something at the terrace.Then Haya comes;

Haya:Kis soch mein ghum ho?
Meerab:Kuch khas nahi.
Haya:Azra ke bade mein soch rahe ho na?
Meerab:Tumhe kaise pata?
Haya:Suna tha maine jab tum Azra se Baat kar rahe the.
Meerab:Woh ladki itni si umar mein bohot kuch seh rahi hai yaar.Aur mein uski zara sa bhi madad nahi kar pa rahi hu.
Haya:Kya tum khudke madad kar payi ho?
Meerab:Matlab?
Haya:Tumne socha hai kabhi Sabj Ali Aur Murtasim mein koi fark nahi hai.Haa yeh baat sach hai ki Murtasim ne tumpar kabhi hath nahi uthaya.Phir bhi dono ek jaise hi hai.
Meerab:Woh kaise?
Haya:Dono hi khud ko biwi ka khuda mante hai.Niqah ke do bol padane ke baad biwi ka khushi khawab khwaish sab woh karid lete hai.Apni exam ke din bhool gaye kaise woh tumhari raah ki rukawat baan gaya tha.Kabhi woh khane ki farmaish kabhi ghar mein mehman laana to kabhi tabiyet kharab ka bahana.
Meerab:Silence.
Haya:Aaj jab mein tumhe Azra ke liye awaz uthaye huye dekhi to mujhe yun laga tumhare andar bhi laadnd ka zasba hai.Aapne upar kiye gayi zaidi ke khilaf awaz uthau.Meerab jab tak tum khud ki madad nahi karoge na koi tumhara madad nahi kar payega.Sabj Ali Aur Murtasim jaise log ko yeh ehsas dilana jaruri hai ki Khuda ki duniya mein woh sirf ek makhluk hai woh kisi ka khuda nahi hai.
Meerab:Mujhe pata hai mein laad sakti hu Lekin Haya mein laadna nahi chahta.
Haya:Lekin kyun?
Meerab:Mujhe Murtasim ki zehen se yeh nikla hai ki pade likhe ladkiyan ghar basane mein naqam nahi hote.
Haya:Tum puri zindegi bhi laaga do na to uski zehen se Shayed yeh baat kabhi nahi nikal paoge.Agar woh samajta tha to us waqt hi samaj jata jab tum ghar ke kam ke sath sath kis tarha se padke exam diya tha.
Meerab:Mein koshish karte rahungi.
Haya:Koshish karne ka yeh matlab hargiz nahi hai ki tum aapne upar kiye gaye zaidti sehte rahoge.Yeh Baat kabhi nahi bhulna jo zurm karta hai Aur jo zurm sehta hai dono ek barabar hai.

Then Haya goes from there,Meerab is still thinking.

In the kitchen.

Meerab:Azra,yeh lo dawai.Kha lo dard kam ho jayega.Aur is ointment nishano pe lagana.
Azra:Ji bibiji.
Meerab:Pata hai Azra aaj Mujhe kisi ne bohot khubsurat baat sikhai hai.Agar tum aapne madad khud nahi karoge na to koi tumhara madad nahi kar payega.Kya tum puri zindegi mar khate khate guzar na chahte ho?

Azra didn't say anything.

Meerab:Tum ek kam kar sakti ho.Yaha ke jo aurten aapni masail leke mere pass aati hai tum bhi waha aa sakte ho.Aur aapna masail bata sakti ho.Mein faisla sunaunga tumhare haq mein.Phir woh tumhe mar nahi payega.
Azra:Agar mein aisa karunga to woh Mujhe aur bhi zada marega.Aap nahi jante use insaan nahi hai woh.Mujhe janwaar ki tarha pitta hai.Aur agar mera aisa karne se woh  Mujhe talak de de to mein kaha jaungi.Mere pas jane ke liye koi jags nahi hai bibiji.Bap ne to mujhe bech diya Sabj Ali ke pas.Mujhe mere haal pe chor dijiye.

Meerab put her hand on her head and drop off tears from eyes.

Meerab goes to the yard area to find Sabj Ali.

Meerab:Aap Sabj Ali hai na?Azra ka shohar.
Sabj Ali:Ji bibiji.Azra ne Kuch galti kiya hai kiya?
Meerab:Galti Azra ne nahi aap ne kiya hai.
Sabj Ali:Mein samjha nahi.
Meerab:Aap kis haq se us par hath uthate hai?
Sabj Ali:Shohar hu uska.
Meerab:Haa shohar hai uska malik nahi hai.Aur nahi woh aapki gulam.Aur to aur kisi ka bhi haq hai kisi par hath uthai.
Sabj Ali:Galti ki thi usne.
Meerab:Aisa kya kar diya tha us bacchi ne zara Mujhe bhi bataiye.
Sabj Ali:Khana pakana thik se nahi aata.Ghar mein thaka hua jata hu.Jake khana bhi thik se na mile to admi ko gussa to aayega na.
Meerab:Woh ladki school jaane ki umar mein tumhare ghar samhal rahi hai.Agar zara si Galti ho jai to marne pitne ki wajai use pyar se samjhao.
Sabj Ali:Humare yaha to aisa hi hota hai.Aap bich mein na bole.
Meerab:Shukar karo ki Maine tum par koi case nahi kiya.Case to banta tha na tum par.
Sabj Ali:Qasoor kiya hai mera?
Meerab:Yeh mujhse puch rahe ho? Pehle to kam umar ki ladki se niqah kiya uske baad us par hath uthaiya.Dono hi kanunan zurm hai.Ayenda mein na suno ki tumne us par hath uthaya hai.Warna anjaam accha nahi hoga.

In the night.

Meerab comb her hair,Murtasim comes to her.

Murtasim:Sabj Ali ko jail jaane ki dhamki tumne diya hai?
Meerab:Haa.
Murtasim:Mana kiya tha na bich mein na bolne ke liye.
Meerab:To galat hota dekhte hui bhi chup rahu?
Murtasim:Haa kyun ki yeh kisi ka personal problem hai.
Meerab:Yeh personal issue nahi hai.Aur aap ki ghar ki kam karnewale logo ki zimmedari aap ki nahi hai.Us bacchi ke sath julm ho raha hai Murtasim.Mein kaise chup bethu.
Murtasim:Woh ayi thi tumhare pas madad mangne?
Meerab:Nahi.
Murtasim:Agar woh apni haal mein khush hai to hum tum kon hote hai bich mein bolne wale?
Meerab:Aaj Azra ki jaga mariyam hoti tab bhi aap yeh kehte.unki personal problem hai yeh.
Murtasim:Silence.
Meerab:Kiya hua Murtasim behen ki Baat ayi to kehne ke liye koi lafz nahi hai aap ke paas.
Murtasim:Silence.
Meerab:Yeh jo mashre ki mard apni biwi par julm karta hai wo bhi kisi ke beti hoti hai.Kisi ke behen hoti hai.Bilkul isi tarha se unhe bhi dukh hota hai jab unki behen beti par koi zaidti kare.Jaise abhi aap ko ho rahi hai apni behen ke naam sunte hi.

Meerab goes to sleep and Murtasim still standing and thinking about Meerab's word.

Meerab Murtasim Ki HuiWhere stories live. Discover now