Part 07

2.9K 133 6
                                    

Bhabi begum called Meerab to her room.

Meerab:Aapne bulaya taijaan.
Bhabi begum:Haa.Tumhe Kuch zimmedari deni thi.
Meerab:Zimmedari?
Bhabi begum:Haa.Dekho tum pehle is ghar ki beti thi Lekin aab Tum bahu ho.Tumse hi is khandan age barhega.To zimmedari to leni padegi.
Meerab:To kiya karna hoga Mujhe?
Bhabi begum:Filhal jau kitchen mein Aur batau kiya pakna hai aaj.Aur baki kam kaal samjhadungi.
Meerab:Lekin taijaan yeh kam to Ammi ki hai.
Bhabi begum:Aaj se tumhari bhi hai.
Meerab:Ji.

Then Meerab along with Bhabi begum comes to kitchen.Anila and Haya going to prepared the meal.

Bhabi begum:Ek jaruri baat karni thi tum logo se.
Anila:Boliye Bhabi begum.
Bhabi begum:Aaj se ghar kiya pakega uski zimmedari meerab ki hai.
Anila:Lekin Bhabi begum meerab ko to khana banana bhi nahi aata Aur nahi kabhi yeh kitchen mein qadam rakha hai woh kaise legi yeh zimmedari?
Bhabi begum:Dekho Anila,Tumhari beti koi choti bacchi to hai nahi.Bahu hai woh is ghar ki.Agar abhi se zimmedari nahi legi to kab legi.
Anila:Par Bhabi begum.....
Bhabi begum:Parwar Kuch nahi.Haya Anila ko leke tum jau yaha se.Baki kam meerab dekhegi.Ilm ki imtehan mein to humesha age rahi hai dekhte yeh imtehan kaise par karti hai.

Then Anila Haya and Bhabi begum goes from there.

Servent:Aaj kiya pakega bibiji?
Meerab:Gust hai ghar pe?
Servent:Ji.
Meerab:To ek kam karo biriyani paka do.Sath mein salan Aur kufta thik rahega.
Servent:Jaisa aap bole.
Meerab:Sabji Mujhe de do kat deti hu?
Servent:Aap karenge?
Meerab:Haa mein.Aise kam jaldi khatam hoga.

When Meerab is chopping the vegetables.She saw a young girl grinding the onion and tears drop from her eyes.

Meerab comes to her and asked;

Meerab:Tum ro rahi ho kya?
Servent:Nahi to bibiji.Peyaj ki wajah se aap ko laaga ankhon mein ansu hai.
Meerab:Mein kuch kuch logo ko pad sakti hu Aur tumhe dekke yeh bol sakti hu ke tumhare ankhon se kiya nikal raha hai.Yeh batau naam kiya hai tumhara?
Servent:Azra.
Meerab:Bade khubsurat naam hai Waise tumhara.Aab bolo ankhon mein ansu kyun?
Azra:Aapni kismat ki par roo rahi hu bibiji.Sara qasoor kismat ka hi jo hai.
Meerab:Har bar qasoor kismat ka bhi nahi hota Kuch humara bhi hota hai.Kuch takat Allah ne hume bhi diya hai ki hum qismat se laad sake Aur aapna halat sudhar sake.
Azra:Qismat se laadke sach mein halat sudhar jati hai?

Meerab wants to say something,then thought,

"Agar sach mein qismat se laad pata to aaj mein Murtasim ki biwi nahi kehlati.Shayed qismat se koi nahi laad pata."

Meerab:Pata hai Azra,kabhi kabhi halat kuch aise ho jate ki humare na chahte hui bhi qismat ki lakeron ko manna padta hai.Aur humare bas mein kuch bhi nahi hota.Lekin agar yeh lage ki tumhare sath kuch galat ho raha hai to zarorat hai uske khilaf awaz uthana.Aur woh humare bas mein.Hum agar aapne upar kiye gaye zaidi ke khilaf awaz nahi uthainge na to qismat wohi ka wohi rahega.Zara sa bhi nahi badlega.
Azra:Aap kitni khubsurat Baat karte hai Bibiji.
Meerab:Tumhari umar kitni hai?
Azra:17 saal.
Meerab:Tum to ekdam bacchi ho.

Then a servent called her and said Murtasim wants coffee from her.

Meerab:Mein coffee de ke aati hu.Baki bate baad mein honge.
Azra:Ji thik hai.

Meerab comes to Murtasim's room to give a coffee.

Murtasim:Kaha thi tum?
Meerab:Kitchen mein.
Murtasim:Meri yaad zara bhi nahi aayi.
Meerab:Ji?
Murtasim:Tum Shayed bhol rahi ho ki tumhara ek shohar bhi hai Aur usko tumhari zarorat hai.

Then Murtasim comes more closer to her,and wants to kiss her.

Meerab:Yeh aap kiya kar rahe hai?
Murtasim:Jo mera haq hai.
Meerab:Taijaan ne Mujhe Kuch zimmedari di hai Mujhe woh pura karna hai.
Murtasim:Kya meri taraf tumhari koi zimmedari nahi hai?
Meerab:Chodiye Mujhe bohot kam hai.
Murtasim:Thik hai Filhal ke liye chod diya Lekin dekhte hai kab tak bachte ho.

Meerab hurry up and leaves from the room.

"Yeh Murtasim to pure badal gaye.Akhir inke dimag mein chal kiya raha hai.Shaadi ki pehle ki inke batee Aur aab inki harqat dono ko nahi mila paa rahi hu.Ya Allah yeh Kaisi uljhan hai.?

After the kitchen chores Meerab goes to terrace.Then called Kinza.

Kinza:Kya baat hai bhai ki biwi?
Meerab:Shut up kinza.
Kinza:Yeh bata tujhe kaisa feel hota hai bhai ke sath romance karte hui.
Meerab:Bohot jada ajeeb.
Kinza:Lekin tujhe to apne qismat par rashq karna chahiye itna handsome banda tera shohar hai?
Meerab:Fazool batee chod yeh bata Ruhail kaha hai aaj kal?
Kinza:Exam sarpar hai woh to apne padai mein ghum.Pata to hai iska pura saal nahi padte Lekin exam ke waqt book nahi chodta.
Meerab:Exam ke date aa gaya?
Kinza:Aise keh rahi hai jaise tujhe nahi pata.Ha aab pata bhi kaise chalega shohar jo mil gaya hai.Subha se tujhe hazaron dafa call kiya.Tu to nahi uthai to tera phone Murtasim bhai ne uthaya tha.Aur Maine unhe inform kiya tha ki exam ki date fixed ho gayi.Kiya unhone tujhe nahi bataya?
Meerab:Subha se hum dono bohot busy the to Shayed unhe moka nahi mila.
Kinza:Meerab ek serious Baat pucho?
Meerab:bol.
Kinza:Tu exam de gi na?
Meerab:Of course.Aise kyun pucha
Kinza:Woh tere ghar ki jo halat ha aisi hai ke unhone unki beti ko rukna chaha Lekin aab to tu unki bahu hai.
Meerab:Mujhe halat se laadna aata hai.
Kinza:That's like my girl.Aur aab to sath denewale Murtasim bhai bhi to hai.
Meerab:Kinza mein tujhse baad mein baat karti hu koi bula raha hai Mujhe.
Kinza:Ok bye.See you.
Meerab:See you.

After cut the call,Meerab talking to herself,

"To yeh tha badle hui andaaz ke piche ka raaz.Woh meri exam hamper karna chahte the.Chahe koi kuch bhi karle woh mein exam bhi dungi Aur acche marks bhi laayungi."

Meerab Murtasim Ki HuiWhere stories live. Discover now