Part 15

2.4K 116 2
                                    

In the next Morning.

Meerab called Kinza.

Kinza:Kaisi hai?
Meerab:Jaise hoti hu Waise hi hu.
Kinza:Tere halat mein koi tabdili ay?
Meerab:Haa aa gayi hai.Aab Mujhe jawab dena aa gaya hai.
Kinza:That's good progressing.
Meerab:Pata hai Kinza aapni halat ke liye Mujhe Allah se kabhi koi shikayet nahi kiya.Agar mere zindegi mein Murtasim jaisa shaks hai to Tumhare Aur Haya jaise dost bhi to hai.Jo kabhi mere himmat nahi totne deta hai.
Kinza:Ek Baat kahu?
Meerab:Bol.
Kinza:Bura mat maan yaar Mujhe laagta hai tu chod de use.Duniya mein wo hi akhiri shaks nahi hai jiske sath tujhe jaise taise karke rehna padega.
Meerab:Tujhe kya laagta hai socha nahi maine is bade mein.Maine socha hai kahi baar sab kuch  chodchad ke jaane ke bade mein.Lekin Phir khayal aaya agar mein aisa karu to Murtasim sahi sabit ho jayega.Uske andar jo ek wehem hai padhi likhi ladki ghar nahi basa sakti woh sahi ho jayega.Mujhe uske zehen se yeh wehem ko nikalna hai Aur usse sabit karna hai ki ek aurat chahe to ghar aur bahar dono ki zimmedari lee sakti hai.
Kinza:Tujhe ummed hai Murtasim jaise shaks kabhi badlega?
Meerab:Ummed pe to duniya kayem hai Kinza.
Kinza:I don't think so is kisam ki mard kabhi badalte hai.Phir bhi agar tujhe ummed hai to main tujhe na ummed nahi karungi.
Meerab:Interesting part pata hai kiya hai.Mein jab aab unhe reality check deta woh palat ke kuch nahi bolte.
Kinza:Khush rahe yaar.Teri khushi ki ilawa Mujhe Kuch nahi chahiye.
Meerab:I know.

Haya doing online form submitted for Masters.Bhabi begum comes to her.

Bhabi begum:To tumne than liya hai shaadi nahi karoge?
Haya:Maine aisa to nahi bola.Haa masters ke baad karungi shaadi.
Bhabi begum:Shaadi ke baad kya padai nahi hoti?Meerab bhi to paad rahi hai.
Haya:Kis tarha se pad rahi yeh aapni ankhon se dekhta hu mein.Isi liye yeh faisla liya hai padai khatam hone ke bad hi shaadi karungi.
Bhabi begum:Itne pad ke naukri karna hai kya tumhe?
Haya:Har samay naukri ke liye nahi padte hai log.Mein apne liye padna chahti hu.Ki kaal ko koi musibat aa bhi jai to kisi ke upar depends hone ki wajai mein khud par depend ho saku.Zindegi ka koi bharosa nahi hai Maa begum.Kab kya ho jai.
Bhabi begum:Kya shuru kiya tum logo ne ghar mein?Meri baat ka koi ahem hi nahi raha.Yeh sab pehle kabhi nahi hua.
Haya:Jaruri to nahi jo pehle kabhi nahi hua woh aab nahi hoga.Har din ek jaisa nahi jata Maa begum.Har kisi ki badi aati hai.Aaj aap yaha ki badshah hai to kaal koi aur.

Haya ignores Bhabi begum and pay attention to laptop.

Azra comes to Meerab.

Azra:Bibiji Ap ka bohot bohot shukriya.Aap ki Baat manke sabj ali ne kaal mujhe nahi mara.Aur kaha koshish karega ki woh Mujh par hath na utha neka.
Meerab:Yeh to bohot acchi baat hai.Aur Suno Azra,agle dafa agar woh tumhe luksaan pohchai to tum bhi uske khilaf bagawat karna.Aaj to mein thi tumhare madad ke liye par humesha to nahi hongi na.Aapne liye apne haq ke liye chup mat rehna.Aapni madad khud karna.
Azra:Aap bohot acchi baate karte hai.
Meerab:Accha suno Azra.
Azra:Bole bibiji.
Meerab:Tum kya uski pehli biwi ho?
Azra:Nahi.Mein tisri biwi hu.
Meerab:Baki biwiyan mar gaye yaa talak de diya?
Azra:Nahi Dono hai.Hum ek sath hi rehte hai.
Meerab:Unki bacchen nahi hai? Aksar mard tab jada shaadi karta hai jab uski biwi use aulad na de sake.
Azra:Unki dono biwiyon ke ghar mein bacchen hai.Betiyon ki to niqah bhi ho gaya.
Meerab:Phir bhi tumse niqah kiya badbakht insaan ne.
Azra:Mere Chacha ke dost the woh ekdin mere gao aaya Aur Mujhe pasand kiya.Abba ko jab niqah ka kaha to unhone mana kar diya.Phir paison ka lalach de diya.
Meerab:Aur tumhare baap maan gaya?
Azra:Woh bechara bhi kya karta garibi se lachar hai.Ghar mein hum panch bhai behen.Mein hu sabse badi.Agar Mujhe dekar ghar mein kuch paise aa rahe to isme kya kharabi.
Meerab:Waise sabj ali ke kirdar mein khut hai.Agar woh tisra niqah kar sakta hai to chotha bhi karega.
Azra:Sirf chotha nahi pasva bhi karega.Akhiri dam tak sirf niqah hi karega.

Meerab giggles.

Meerab:Waise school gaye the kabhi tum?
Azra:Bachpan mein gaya tha Phir Abba ne padai chudwa diya.
Meerab:Kyun?
Azra:Jisko Pet mein nahi daana pani woh pad lekkhe kiya karegi.
Meerab:Padna chahti ho tum?
Azra:Maan to mera bohot tha padai ka.
Meerab:To phir thik hai kaal se mere pass ek gante ki liye aa jana.Mein pada dungi.
Azra:Agar koi dekhega to kya bolega?
Meerab:Koi dekhega to tab bolega na.Koi nahi dekhega.
Azra:Aap bohot acchi hai Bibiji.Allah aap ko salamat rakhe.

After a while,Murtasim called Meerab over phone.

Meerab:Ji boliye.
Murtasim:Aaj raat mein nahi lautunga.Gao mein kuch kam hai.
Meerab:Thik hai.
Murtasim:Mere na lautne ki khabar se kafi khush laag rahe ho.
Meerab:Aap ko kiya parwah hai meri hasi se ya meri khushi se.Aap ko to humesha aapni maanmani karni hai.Sabit karna hai aap mere shohar hai.mere mijaj e khuda.
Murtasim:Nahi karta kya tumhari parwa?
Meerab:Yeh sawal mujhe nahi aap apne aapse puchiye.kya aap mere parwa karte hai ki nahi.Sawal mil jayega aap ko.
Murtasim:Maa ko bata dena mere naa lautne ki khabar.Rakhta hu.
Meerab:Bye.

Meerab decided to spend tonight with herself.And go to terrace.

Meerab Murtasim Ki HuiWhere stories live. Discover now