nafrat_e_ishq second last part (20)

232 4 2
                                    

Nafrat_e_ishq
Second last part (20)
Written by alfariya shaikh
Ignore mistakes
.........................................................................

Aaj ayan ne hospital se off liya tha.
Sabhi log ghar par the.
Zaraar ki custudy me sirf 10 din rah gaye the.

Aaj inayat ne sabke sath nashta Kiya tha.
Karlo nashta aaj sabke sath.
Kyuki 10 din bad mera bachha mujhe milega aur tum uski aur hmari zindagi se bahut dur chali jaogi.
Ayan inayat se kahta hai.

Inayat khamosh thi.
Sabhi log apne room me hote hai.

Ayan room me apne laptop par kam kar raha tha.
Samreen neeche hall me bhethkar phone chala rahi thi.

Tabhi Hannan ki ammi neeche sediyo se utar Rahi thi.
Usi waqt wo sediyo se fisal jati hai.
Unki cheekh nikal jati hai.

Samreen ye sab khadi dekh rahi thi.
Lekin usne Hannan ki ammi help nahi ki.

Cheekh sunkar Hannan aur baki sab Ghar wale waha aate hai.
Hannan dekhta hai uski maa giri hui hai aur Samreen unhe uthane ki jagah sofe par bhethi phone chala rahi thi.
Use ye dekhkar bahut gussa aata hai.

Wo jakar apni ammi ko uthata hai.
Aur unhe sofe par bhetha deta hai.

Ye kya tarika hai Samreen.
Ammi neeche fisal gai aur tum unhe uthane ki jagah tamasha dekh rahi ho.

Ha Samreen ye kya tarika hai tumne badi ammi ko uthaya kyu nahi.

Mera dhyan nahi tha.
Maine headphone lagay hue hai.
Dikh nahi raha tumhe kya.

Tum bahut hi cheap ladki ho main bahut acche se janta hu.
Tumne jankar ammi ko nahi uthaya.

Hannan main manta hu ki uski galti hai lekin bhabhi hai Teri aur ye kis lahze me usse bat kar raha hai tu.

Aap to mujse bole hi mat bhai aapko pta bhe hai us din jab main aur Inayat bhabhi room me band hue the.
Ya sab Samreen ka plan tha.

Bus kar Hannan main tujhse kuch kah nahi raha hu.
Iska matlab tu kuch bhe bakbas karega.

Had me rah tu apni
Warna achha nahi hoga.

Tu samajhta kya hai khud ko tune Samreen ke sath jo Kiya uske bad main tujpar yakeen karunga.

Sab isne Kiya hai bhai isne to aapke bacche ka abortion tak karwane ka plan Kiya tha.

Bus karde Hannan.
Main tujhe jaan se mar dunga.
Ab tune ek lafz bhe kaha Samreen ke against.

Waw bhai kya bat hai jab inayat bhabhi par ilzam Lage the.
To aapne to Samreen ki bat par Direct yakeen kar liya .

Aur Inayat bhabhi ko dhakke dekar ghar se nikal diya.
Ek bar to unpar aitbar karte aap.

Tu nikal is ghar se.
Maine badi ammi ke kahne par tujhe is Ghar me ane diya.
Ye meri sabse badi galti thi.

Nikal mere Ghar se ab main tujhe ek minute yaha bardarsth nahi karunga.

Chale sab choro.
Ab main aapko proof dikhata hu.

Kya proof hai tumhare pas
Bakbas band kro tum apni.
Aur niklo is Ghar se.
Samreen Hannan se kahti hai.

Nahi Samreen isne tumpar ilzam lagaya hai ab main bhe dekhna chata hu ki kya proof hai iske pas.
Dikha proof.

Kya zaroorat hai ayan.
Tum chup raho.

Thek hai ab main aapko aapki second bibi ke kharname sunata hu.

Hannan apne room se laptop lekar aata hai.
Aur video chalu karta hai.

Nafrat_e_ishqWhere stories live. Discover now