nafrat_e_ishq part_16

169 3 1
                                    

Nafrat_e_ishq
Part_16
Written by alfariya shaikh
Ignore mistakes
.........................................................................
Subah ke 9 baj rahe the.
Inayat 9 bje uthi thi.

Uski ankhe surkh suji hui aur chehra lal ho raha tha.
Use dekhkar saf andaja lagaya ja sakta tha ki wo rat bhar soyi nahi hai.

Sabhi log inayat ke room me jama ho jate hai aur usse swal karne lagte hai.

Inayat sabko ignore kar washroom chali jati hai.
Washroom se aane ke bad saleeqa inayat ko apne gale lagati hai aur usee puchti hai kya hua hai beta.

Inayat sabko pura wakya btati hai wakya btane ke bad inayat saleeqa se gale lagkar rone lagti hai.

Farman gussa me rumi ki taraf dekhta hai.
Tumhare Bhai ne jo Kiya hai na meri bahan ke sath main use choroga nahi.

Bhai aap bhabhi ko kyu dat rahe hai unki thodi galti hai ye sara kiya hua us Samreen ka hai.
Ha to Samreen bhe to rumi ki dost hai farman gusse se gurta hua kahta hai.

Farman car ki key lekar gusse se bahar nikal jata hai.
Aur ayan ke ghar pahuchta hai.
Waha sab log nashta kar rahe the.

Wow meri bahan ki zindagi barbad karke yaha aap sab log sukoon se nashta kar rahe hai.
Aur ayan tum to bahut mohabbat karte the na inayat se to kyu aitbar nahi Kiya meri bahan ka kyu use ghar se Jaleel karke nikala.

Tumhari bahan ka hi kirdar thek nahi tha.
Apni bahan ki harkate tum chupa nahi sakte ayan beiktiyar hokar bola.

Farman ko gussa aata hai aur wo ayan par bhid jata hai.
In dono ki ladai ho jati hai tabhi ulfat aur Samreen dono ki ladai solve karte hai.

Farman gusse me ayan ke ghar se aa jata hai.

2 mahine guzar chuke the .
Inayat apne room me udas bhethi ayan ke bare me soch Rahi thi.

Ayan ki bate uske dimag me gum rahi thi

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

Ayan ki bate uske dimag me gum rahi thi.
Wahi ayan apne hospital ke kam mein mashroof tha.

Ayan ko ulfat ka phone aata hai.
Beta Aaj mujhe tumse bahut important bat karni hai.
Ghar jaldi aa jana
Ji ammi aa jauga.

Ayan ghar pahuchta hai.
Ulfat use apne pas bhethne ko kahti hai ayan ulfat ke pas bheth jata hai.

Beta meri bat bahut itminan aur hosle se sunna hai.
Jo Mai kahne ja rahi hu shyad tumhe bura lagega.

Nahi ammi kahe kya bat hai Ayan apni ammi ka hath apne hath main lete hue kahta hai.

Beta ab to inayat ko gay hue bhe 2 mahine ho gay hai.
Hannan bhe Samreen ko chorkar abrod chala gya hai.
Samreen aur tum pure din udas rahte ho mujse ye nahi dekha jata.

Main chati hu tum aur Samreen shadi karlo.
Ayan apni ammi ko dekhna lagta hai.
Ammi aap hosh me to hai ye kya kah Rahi hai aap.
Main aur Samreen soch bhe kese sakti hai aap ye.

Nafrat_e_ishqWhere stories live. Discover now