Chap.13

99 5 0
                                    

FIR Dobara se Bajte Ke mobile ki taraf mutawajja Hota bahar nikal gaya

Corridor Mein Aakar use talkhi Muskurahat ke sath Uske Office ke band darvaze Ko Dekha

" main bhi Maaf nahin karta
u little bit** ( gali ) ... "

Vah Sar jhatak kar Aage bar gaya

Andar zumar abhi tak Waise Hi Baithi thi zehen main
barfbari hanoos Bari thi

Dopahar ab Gujar chuki thi Magar use hawalat ka Gate abhi bhi tap raha tha

Bahar nikal kar usne apni sunehri Aankhon Ki putliyan sukere bur bur Kisi Ko Talash Kiya
Aur FIR voh use Nazar a Gaya
Garo ke darvaze ke sath take Lagaye Khada saadi

use Aata Dekhkar saadi bhi muskurate Hue Aage Bara

Donon Ne kadam kadam fasla Uboor Kiya aur ek dusre Ke Samne Aaye

Faris Apne Bhanje se 2 inch lamba tha use Musafir ke liye Hath Yun badhaya Jaise Aam wrestling ke liye Panja badhate Hain

Saadi ne bhi Panja Milaya
fateh ka Nishan
saadi Muskura raha tha
faris sanjeeda tha

"Kahan Chale ?..."

car mein baithkar pahla Sawal
saadi ne poochha

"Hamare ghar ya Kadar ki taraf "

"kabristan "

saadi ne " hmm " kehkar
gari start kar di
faris Ne Ek Naar donon ki seaton ke Darmiyan get ke sath khane Mein Rakhe saadi ke mobile Ko Dekha aur FIR Khirki Se Bahar dekhne laga

"main aaun kabristan "

Saadi ne pucha

" Nahi....Mujhe Tanhai ki Aadat Hai Waqt lagega "

Yeh wazy na Tha kehkar vo nikal Gaya

Saadi Khamoshi se use Jaate dekhta Raha usne yeh Nahin Dekha ki uska mobile ab khane Mein Nahin

Kabristan mein un do khabron par fateha par kar wo uth gaya

FIR Ek darakht Ke Piche Aaya Jahan se saadi use Nahin dekh sakta tha
FIR saadi ke phone per usne ek number milaya or bola

" han Stepni kaise ho "

Baat karte hue aadatan voh Apne Kan ki low Masal raha tha

"Han main Bahar a Gaya Hun baat suno Dhyan se mujhe kuchh chizen chahie kal Sham Tak taiyar ho Meri Gan Mera Chaku Ek blue passport docard Meri tasveer aur mere naam ki ho Magar government shoot ho aur Iske alava "

Usne Kuchh Aur asleha Ke Naam ginvae FIR Jara Ruka aur uktahat se uski Baat Suni or bola

"Jo keh raha hun voh Karke do zyada Sawal mat Karo "

Call Band Karke record mitaya aur Aakhri Nazar UN do khabron per Dali Jin par likha tha

Zartasha faris ghazi aur Waris ghazi

Kuchh Waqt vo waha Khada Raha aur FIR un donon se Kuchh Bhi Kahe bagair Wapis a gaya

Car Mein saadi idhar udhar Hath maarta Kuchh Talash kar raha tha

" Kya hua "

" pata nahi mobile kaha rakh diya "

" Ye Tumhari seat Ke Piche Gira Hai "

Saadi ne chonk kar dekha

Uska mobile pichli seat Ke Niche Gira
Tha Jaise agale khane se slip hokar Piche Gir gaya ho

Saadi ne Shukar karte hue phone uthaya aur gari start ki

" Kya Tumhen hairat nahi hui ke jaj Ne Mujhe reha Kar Diya? "

Faris Khirki Se Bahar Dekhte Hue bola
Saadi ne Zara se shane uchkae

"Apne voh Katal Nahin Kiye Main Jaanta hun "

"Kya farak parta hai Puri Duniya to yahi samajhti hai aur voh jaj
voh Itni aasani Se Kaise Mana Mujhe hairat Hai"

Kehte Hue mudkar Gaur Se Saadi Ka Chehra Dekha

"Agar tumhara ismein koi Hath Hai Saadi to keh do Main Sun Raha Hun"

"Mera Hath kaise ho sakta hai mere bat Jaj Sune Aur manega Bhi kyon?

Usne laparvahi se Shane uchkae aur drive Karta Raha

Faris ne asbat main sar hilaya

"Magar Tumne meri baat ki tadeed nahin ki theek hai "

aur Khirki ke bahar bhagte darakhto ko dekhne laga

Saadi Mein Koi jawab nahi diya bas dekhta Raha

"Tum bologe Ya Main Tumhen Kisi dusre Tarike se bulwaun "

Abke faris ne Zara sakht Magar narm legje mein bat ki to Saadi ne bezari sey mor kata

"Maine kuch galat nahi kiya jo kiya hai kudrat ne kiya hai "

"Acha aur Tumhari kudrat ne kya kiya hai"

"Wahi Jo saalo sey hota aya hai haman ko firon ke khilaf khara karna"

"Kiya"

Faris ne abru uthakar uktae hue Andaaz mein poochha

Saadi Mein gehri Sans Li

"Mere pasandida kiso mein se ek Hai Firon aur Musa AS ka kissa
Vajah FIR Kabhi bataunga lekin Agar aapane kabhi Koi Kitab padhne ki zehmat ki ho Jo ki jail mein aapane nahin ki Hogi dusron ki haddiyan aur dant torne se Fursat Nahin milati Hogi to aapko Maloom ho jata ki haman firon ka ek Wazir tha bahut Dana bahut Joravar Firon ka Daya Hath uska Har Hukum bajane wala
Yah Sare ke Sare firon Apne Apne haman ke mohtaj hote hain Agar Ham Haman ko apni Mutthi Mein Kar len to bahut se kam nikal sakty hai maine bhi bas Yahi kiya tha"

Wo mibhim si baat karke fir se khamosh ho gaya

Faris sar jhatak kar bahar dekhne laga uski Sunehari Aankhon Mein gehri Soch ki parchhaiyan thi

______________________________________

Dil Ko Lahu Karen ki
Gireba ko rafu Karen

Namal By Nimra Ahmad || Roman English Where stories live. Discover now