Chapter 2

31 7 0
                                    

uss NY muskra k jawab diya "haan ishq hai Kisi sy''
"ISHQ!!'' Ek student NY Heeraniyat sy pocha "sir AP apni love story k baray mein Batana chahain gu humay?''
wo phir muskraya "love story nhi Kaho,mein ny apni Zindagi ka Ek unwaan rkha hai "adhuri mohabat ki Ek ajeeb dastan'' agar Tum log sun ny mein interested ho tou phir theek hai''
uss NY Kahani Sunana shoro ki
aj sy ikis Saal purani baat hai jab wo  (14) Saal ka tha zyada social nhi tha wo logo sy milny sy ghabrata tha or sharam mehsoos krta tha wo 5 class mein tha or uss ka bhai 7 mein, zawiyar sab sy dur dur rehta tha jis ki waja sy koi ussy Baat krna pasand nhi krty thy uss ki class mein b koi uss sy baat nhi krta tha larko NY uss ko buzdil k Naam sy mashhoor krdiya tha larkiya b uss ko darphok samjh ke uss sy baat nhi krti thi
wo har waqt tanha rehta tha school k Kuch bachay uss ki buzdili ka faida uthaty thy or uss ko baat baat pe mara krty thy wo parhai mein bohat acha tha infact apni class ka sab sy acha student shayad uss k school mein aj tak aesa koi student nhi aya tha k uss ka muqabla krta jis ki waja sy log uss sy hasad krty thy wo nihayat khoobsurt tha lekin wo kehtay Hain insaan ki khoobsurti koi maini nhi rkhta agar  insan buzdil ho tou,wo sports mein b bohat acha tha larkiya uss k matches dekhny jaya krti thi  lekin jab un ko pata chalta k wo Ek buzdil or dharphok insan hai tou wo wahan sy Chali jaya krti thi haqeeqat tou ye thi k uss ko ab tanhai mein rehni ki addat hogai thi uss ko larkiyo mein koi dilchaspi nhi thi wo tamam duniya ko Matlabi samjhta tha uss ka wo bhai Jo uss ka sab sy acha dost tha Jo har mushkil mein zawiyar ka sath diya krta tha uss sy bohat Pyaar krta tha azlan sy Bhar k uss ka koi nhi tha uss k maa baap b nhi kyun k wo kabhi uss ko samjh hi na pai
7 January 2003 ki BAAT hai zawiyar bohat udaas tha jab subha utha uss ko yun laga tha k aj shayad uss ki Zindagi ka sab sy behtreen din hai wo uth ke school gya tou class mein dhakil hotay hi sab baat kr rhy thy k section b mein Ek nai larki ai hai wo itni khoobsurat hai k usse dekhty hi Pyaar hojata hai zawiyar NY un ki BAAT ko ignore Kiya or apna bag rkh k class sy bahir Chala gya kyun k wo Janta tha k wo larki jitni b haseen ho wo us ko bother b nhi kry gi kyun ko wo Ek nahiyat dharpook larka tha
wo issi soch mein chal rha tha k sath sy Ek larki guzari or baydeehani mein ussy takra gi uss NY palat KY uss ki taraf dekha
(his pov) sans tham si gai,wo itni haseen thi wo apna Dil kho betha, uss sy nigha mili hai us ki jaan Nikal gai
(her pov) poori kainat mein aj tak uss NY aesa shaqs nhi dekha tha jis ko dekhny sy Dil ko sukoon milay,ab uss sy Nazar hatany ko Dil nhi krta
zawiyar achanak sy bola "I'm sorry''
irha kay lafz tham sy gy thy uss NY muskra k uss ko dekha or wahan sy Chali Gai, ussi waqt zawiyar k class fellows agy
"zawiyar Dekho Tum tou ussy Dekho hi na,wo tou Tum jaisay buzdil ko dekhay gi b nhi''
"dekhay gi??? wo mujhe pasand krny lagi hai''
"Pasand (wo sab hasny lagay) (un mein sy Ek dost NY AKe uss k kandhay pe apna haath rkha) yaar Dekho Tum Ek bongy sy darphook sy insan ho or  wo itni haseen itni bold ,itni hot .....''
irha k baray mein ye lafz uss ki zuban sy sun k zawiyar ko itna gussa aya or uss NY itni zoor sy uss ko dhika diya or uss ka sir ja k Dewar py Laga uss NY uss ka collar pakr k bola "ainda mein ny tumharay mun sy uss k baray mein Kuch b suna tou kasam khata hoon apnay paoon pe chal ke Ghar janay k kabil nhi hogay ai samjh''
sab dar k wahan sy chalay gy.
jab ye Khabar school k principal k pass ponchi tou unho NY zawiyar or azlan ko apnay office bolaya
zawiyar bohat sahem gya tha kyun k aj tak uss NY Kisi ko marnay ki kya Kuch kehnay ki b jurat nhi ki thi azlan b marnay ki waja sy bykhabar tha wo nhi janta tha k uss ka  bhai Kisi sy mohabat krny lag gya tha
"azlan AP ko pata hai?AP k bhai NY Ek larkay ko mara hai''
"jee sir mujhe pata Chala hai lekin''
"waja pata hai??"
"waja nhi pata sir''
"tou ye apnay bhai sy pocho,koi b Kuch nhi Bata rha''
zawiyar sath hi Thora behtair feel krny Laga "sir wo actually mujhe wo sab hamesha tang krty Hain martay Hain mujhe darphook or bewaqoof kehtay Hain aj b wo aesa hi kr rhy thy bas mein ny bydeehani mein uss ko mar diya''
"zawiyar AP khud batao Bhala AP darphook ho??AP bewaqoof ho?? AP apni class k topper ho iss school k best student ho,AP NY aj tak aesa Kuch nhi Kiya tha AP tou best student ho sach bolo tou ye Jo AP ko darphok kehtay Hain na wo ye nhi jantay k AP darphook nhi ho balkay AP in sab sy zyada achay ho or qabil ho''
"sir I'm really sorry I'll make sure aesa ainda nhi hoga please excuse me this time don't let my parents know about this''
"mein apko warn kr rha hoon, zawiyar ap Ek achay bachay hi or mein nhi Chahta k AP bakiyo jaisay hojao,azlan AP sy b request kr rha hoon apnay parents ko na batana''
" jee sir'' azlan NY jawab diya or wo ye kehtay hi wahan sy chalay gy
"zawiyar,sach batao Tum NY us ko kyun mara??'' us NY principal k office sy nikalty hi uss sy ye pocha "azlan bhai mein ny bataya tou hai mein ab iss torture sy tang agya hoon nhi bardasht hota mujh sy ab ye sab''
"zawiyar Kon hai wo???''
__________________________________________________________________________________
Will he tell him that??
Stay tuned to know

CHIRAG E ZINDAGI Where stories live. Discover now