6~Candle Light Dinner

8 4 9
                                    

In the cell, Kiyansh was sitting and Samyukta was pacing to and fro.

K~yaar Sam, ek baat batao, tum ne on the way kiun us bachi ka naam nahi poochha?

Sm~mujhe kya pata tha ke raaste mein police pakad le gi? Aur tum Kiyansh, (she came to him) tum ne mujhe nahi pehchaan'ne ki acting kiun ki?

K~toh main aur kya karta Sam, main apni taraf se koshish kar raha tha ke tum na phasso, lekin tum phass gayi yaar, tum meri wajah se yahan ho, hum dono he kisi ka bhala karne ja rahay thay, maana ke humare motives selfish thay, lekin phir humare saath itna bura kiun hua Sam?

Sm~main bach jaati agar mere suitcase mein Sonakshi behosh nahi milti, main jaati lawyer dhoond kar laati aur tumhe bhi chhuraati, khair lekin ab jo hua so hua, hum kuchh nahi kar saktay, hum bas wait kar saktay hain ke Sonakshi hosh mein aaye, humari favor mein statement de, aur hum aazad ho jaaein

K~waise statement toh wo bachi bhi de sakti hai

Sm~I don't think wo chief inspector usay involve karay ga, bachay sensitive hotay hain, wo pehle he sehmi hui thi, bas us nanhee si jaan ko us ki maa mil jaaye wapis, aur humein aazadi

K~ Sam, koi agar kisi pe aisa jaan leva hamla karay ga, toh us ka motive toh murder ho ga, lekin ye bas attempt to murder tha, us killer ne poori tarah Sonakshi ko maara nahi balkay tumhare suitcase mein chhupa diya

Sm~ho sakta hai us ne Sonakshi ko theek se check nahi kiya ho, aur suitcase mein daal diya ho jaldi mein, kiun ke hum wahan aa gaye thay

K~maybe, lekin bachi ko saamne he chhor diya display mein aur humein hint de di ke zaroor kuchh hua hai

Sm~usay chhupane ka mauka he nahi mila ho ga na, same usi tarah jaise usay Sonakshi ko maarne ka mauka nahi mila 

K~well, hoping for speedy recovery of Sonakshi and our declaration of independence

They were served food, electricity went off, the constable lit the candles and left

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

They were served food, electricity went off, the constable lit the candles and left. Samyukta smiled.

Sm~humari azadi ke farmaan se pehle humari kismat mein candle light dinner likha hai, jo ke humari life mein kaafi time se missing tha

K~baat toh sach hai par baat hai ruswaai ki

Sm~ruswaai ki baat kiun hai?

K~candle light dinner jail mein kaun karta hai?

Sm~toh aankhein band kar lo, ye bhi romantic lagay ga

K~hmm, waise humara ye last candle light dinner hai

Sm~aeyy, last kiun?

K~next candle light dinner humare baby ke saath ho ga, jis ke paise bhi humein mil chukay hain

They smiled.

They smiled

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.
Kaisi Paheli Zindagani Where stories live. Discover now